Mooshak ki kahani. Kamal Swaroop

From PhalkeFactory
Revision as of 22:35, 23 April 2015 by HansaThapliyal (talk | contribs)
(diff) ←Older revision | view current revision (diff) | Newer revision→ (diff)

Dark room Dhundiraj darwaza band karata hai.mome batti phook ker bhujhata hai.sirf lalten ki lal roshni.aik chuha pighalti batti mome chaat raha tha.tashtari ke rasayano mein aik tasvee ubharti tair rahi thi Achanak,kamala dhadam se kamre mein darwaza dhakel ker ghusi.vh dar ke mare cheekh rahi thi. Kamala-----ab mein yahan nahi rahungi Tashtari ke jal meinpanditji kasher mein badalta chitre kala hua,dhundhiraj krodhit hua.kamala ko apne se alag kiya khatkhataya kyon nahin?yehi to aik proof tha.kya jawab doonga ab scientific sabha mein?ki meri patni ne be mauka dark room mein ghus kerproof mita diya.kahan dhoondu panditji ko

dono mein ruthna or manana,sulah dhundiraj ne darwazeke chote se chaidh se bheeter dekha.momebatti pighli hui thi.chuha ja chukka tha .dheek momebatti ke neeche table per sone ki bareek chadhiyan ke do gahtter the.chamak seedhe dhundiraj ki ankho se takraee.usne sone ki pin ko momebtti ki lo mein pighla ker dekha sona khara utra. Dhundiraj ghar se bahar nikla,main jaldi aata hoon. Dhundiraj ke haatho mein ba hut sari khareedari thi.per ghar aaya to dekha kamala pagla rahi thi.jalti hui lakdi liye jahan tahan bane chuhon ke billon ke munh mein aag bhar rahi thi.dhundi ne kamala ko sambhala jalti lakdi ghar ke bahar phanki hosh mein aao kamaka main tang aagai hun tum chale jate ho to yeh ghar bhoot ki tarah……dhundiraj ne darkroom ka darwaza khola ,ander koi nahin tha. tumhari mem ka aadmi aaya tha kitabon ki pooch raha tha.

darkroom raat ko vahi choohon ki kit kit ,dhundi utha ,darkroom ke ched se jhanka.chooha pighalti mom chaat raha tha.phir tashtari mein rakha chandi ki bhasm ka mishran laplapati jeebh se chaata,phir jam ker saans leta or thoda phoolta.moonche naak ke neeche ugati jaddon ki or se sunhari hoti sunaharapan dheere dheere mooch ki or badhne laga.iske saath mooche bhi badhne lagati.tatpaschyat , kisi pencil ki lead ki tarah tootker aik gather mein badli. Dhundirajne dwar khola,peeth per band kiya.dekhne laga.choohadara nahin.mome chati.nitrate pee.moochki noke se pighal kersona tapak ker ganpati ki moorti mein dhalne laga.chooha table faand kerdhundiraj ke kandhe per gilhari kee tarah chadh ker baith gaya mooshk ne moorti adhbut gadi thi.

DHUNDIRAJprathkal utha.balti se nahata ,purush sutre padh raha tha.kamala pooja ghar gai to vahan ganpati ki sone ki sunder si moorti saja ker rakhi thi.chakit hui. ye kya tum laye ho? kya ganpati sunder hai? maine soncha jab tum akeli hoti ho tumhari raksha karega. abki bar main sath chalungi

dhundiraj chala gaya.kamla ne apni bachiko deka munh se lar tapak rahi thi.ghabrai.

MARKET Nathdvara mandir ki painting ke samne baith ker bhgat patni pati ne photo kichvaa tha.usiko sone ke rango se dhundiraj ne ranga tha.johari parivar dekh ker prasn ho utha.baki bhi aise chitron ki mang karne lage. Johari-----------aap hai unche karigar ye to aap kah rahen hain baki shahar to mujhe nikalne per tula hai.dhamkiyon se kya hota hai?ishvar ne chaha to aik din aapko khoob yash milega.