The story of Panditji. Kamal Swaroop

From PhalkeFactory
Revision as of 15:05, 5 April 2015 by HansaThapliyal (talk | contribs)
(diff) ←Older revision | view current revision (diff) | Newer revision→ (diff)

घोड़ा गाड़ी, एक चाँदनी रात में नहाए सफेद मंदिरों की गलियों से गुज़र रही थी, आकर एक खंडारनुमा चार मंज़िला इमारत के सामने रुकी. धुन्धिराज ने घोड़े को घास दी और इमारत के अंदर प्रवेश किया. शस्त्रिजी को उस भूल भुलैया में पुकारने लगा. तहख़ाने के एक अंधेरे कमरे में पंडितजी अपने कीमियागरी के उपकरणों की सहायता से सोना बनाने में व्यस्त थे. ढूंढीरज जैसे ही प्रवेश हुए उसी समय रसायनिक क्रिया में एक विस्फोट हुवा. पंडितजी के मुख पर कालिख पूती. और स्फोट के साथ ही हारे रंग का धूआन तेज़ी से कमरे में फैलने लगा. एक चूहे की आकृति का धुन ढूंढीरज ने अपने नातूनों में भरा.

.panditji ki surat dekh ker uski hansi chooti. Panditki----------kahiye kya kaam hai?meine aap ko pahchana nahin. Dhundiraj-------mein dji shasti ka putra hun,dhundiraj Dhundiraj ne apne kamarband se khusa hua chota sa bauva nikala,usme se paanch rupaye nikal ker panditji ke charnon mein rakhe

kya matlab hai? aapse kuch jaroori batten karni thi. ye apne rupye uthaye or chalet banye, paanch rupye mein is pandit se seala koi kuch nahin ugalwa sakta hai. ye to dakshina matre hai,apni baat arj karne ke baad sone ki ashrafiyon se sauda karoonga. sone ki ashraffiyan?yani ki mohren?sona to mein khud chahata hoon magar khud ke haato se banaya hua kimiyan ke upkarno se tarah tarah kerangon ki bhap nikal rahi thi.aik tambe ke bartan mein aml ki boond tapak rahi thi.panditji ne jaanch ker dekha sona nahin bana tha.gusse se bartan uchal ker phenk diya, sona nahin bana tha.haath ponch liye.

khre bhaeya aap se baat ker loonga,kya garmi hai meine suna hai ki aap ke pass Sanskrit ki bahut pothiyan hai? ji han hai to sahi ,per ab unhen maine khurake dimkan bana diya hai.kambakht ghar bhar mein phellen,lakdi ke darwaze khokle ker isse acha hai ki in namurad kitabon ko khati rahe.kya garrmi hai.tashreef rakhye. vilayat se aik angrej aaya hai,uske pas aik kitab hai.maine khud apni aankhon se dekha ki usne apni jeb se sheeshi nikali or sirf do boond tambeke bade lote per dal di or phir apne nauker se kaha kiab is lotte ko bell patron se manjh do….manjhte hi mano karishma ho gaya.poora lota sone jaisa chamchma raha tha.phir bole yeh sara sona angrez sarkar mujhsse kharid leti hai meri croro ki daulat vilayat mein hai.magar mujhe yahan se jane ke liye kames kam pachas sone ki deegre chahiye.to maine kaha jo lota apne abhi banaya use bech dijiye----rupiya mil jayega.vah bole nahin ,rejident babu ne isai mantr ki kasam khila rakhi hai.sona angrej sarkar hi le sakti hai. Mane kaha to angrez sarkar se hi paissa le lijiye……..is per voh gora kahne laga sona yahan bana ker deta hun to ve kalkatte ke bade laatt sahib ko khat likh ker batlate hai,or bade latt sahib vilayet meincompany bahadur ko….tab vh rupiya vhan unko bhej diya jata hai.is bechare ko aik bhi dhela nahin milta kinyoki yeh sharab bahut peeta hai.is liye veh chata ki koi uski kimiyagiri ki kitaabe pachas dinaron mein khareed le..kiyonki nuskha use yaad ho gaya hai

aisi kitab to sirf arab zaban mein hogi sahi farmaya. ye angrez saltane bhalen loot len magar kya khaker angrezi zaban padenge is gore ka vald English nasle ka hai.or ma arbi nasle ki.isai hote huve bhi apne bete ko kalmapak padaya.mera khayal hai ki yeh kitab bhi use uski walida ne….. vh kitab apne dekhi hai? Ankho se pachas dinaron main kitab us sharabi English man se khareed sakte hain.

ullu ka patha ho gaya hai jo aisi beshkimti kitab bech raha hai chunki nuskha use yaad hai isliye bechne ko taiyar ho gaya hai. Per pachas du kahan se.haveli bech doonga to rahunga kahan?

ye kitabe aap mujhe bech dijiye main pachaas dinaren aap ko nagad doonga. Panditji ko pasine choote.kuch sonch kerkisi doosre kamre ki taraf janelage.unoneh aik kivad ki sankal kholi,andar andhera tha.jalti tel bati leker ander ghuse ,peecbe dhundiraj or aik chuha.

Lagbhag teen char hazar pustken thi.haath lagate hi panne ret ho rahe the.sunhere rango mein sachitre.dhundiraj ne tel batti apne hatho mein le li.

inki kya kimat lenge aap? aji kimat kya……main in saliyom se kutte ka pakhana utha ke n phenku,itni nafrat ho gai hai mujhe….apke devi devtaon se aap ke majab se.mujhe duniya ke tamam majabhon se nafrat hai.bus aik bar sona banaker dekhna chahta hun. to inke liye pachas mohre pesh karu jee nahi,51ya 101.mujhe shudh rakam chahiye.lena ho to leejiye varna dafa ho jaiye.dhundiraj ne ashrafiyan gin ker pesh ki,

dhundiraj ne kitabe bandhi,ghodagadi mein ladhi.

Is bar pandit ji kuch hari jaddi ghot rahe the. Panditji……..janab aap shikari bhi hain?

nahin panditji ye tasveeren lene ki bandook hai.udti chidya ki bhagte ghode ki,narsima ki. Panditji-------ruko, mujhe lagta hai tum mere kaam asakte ho.mere paas aik jaddi hai,use khane se admi sher mein badal sakta hai.doosri ko khane per manushya mein.main chahta hun jab meri kaya parivartan ho rahi hoto tum is bandook ko baraber tane rakhna.tasveeren utarana.mein bhi dekhun kya savar o jata hai?phi mujhe goli chata dena.main phir se admi ho jaunga. Dhundiraj------aap mujhe mar ker kha gaye to?

beta tumhare paas bandook hai,sher banne ke baad mujhe kaise pata chalega ki ye nakli hai?ye pryog hai vigyan ki kasam.daro mat panditji ne aik goli khudh kha li oar aik dhundiraj ko thama di

dhundiraj ki bandook ki nok tale sher mein badalne lage.dhundirajj ne banook ka ghoda teen baar dabaya per apna bhya adhik der tak nahin daba paye.bhge.door chandni raat men ghoda gadhi kitabe leker bhag rahi thi.


Idhar dhundiraj ki neend tuti.khidki ke bahar sara alam chand ki dudhiya roshni mein nahaya hua tha.kamala bagal mein so rahi thi.vh utha, seedhiyan chadhi.tale mein chabhi lagai.telbatti ki roshni tej ki ti dekha khidki khuli thi orkitaben gayab thi

Khidki ke bahar sota hua shaher tha,kuch chimniyon ka dhua,or door bhaap ki rail.mula ki azaan. Dhundiraj daud ker neeche aya Kamala kamala kitabe chori chali gayi.mein us mem ko kya muh dikhaunga?

Dhundiraj thane gaye. Kotwal,laldadi walla muslman thaankho mein surma jaise ki babbersher ho

humne her padhe likhe admi ki talashi le li hai,per janab aap jin kitabon ka zikre ker rahe hai ve kahin nahin mili.or janab angreji angrezon ki talashi lene ka hak nahin hai.waise apka karobar kya hai. kamere ki tasveere khichna toba toba in cheron ko pahchante hain? ji han mere haath ki hain ye bachhe kai dino se ghar se gayab the.apki in tasveeron ki vajah se pahchan liye gaye,inke sar per inam rakha tha aap uske hakdar huve.dhundiraj kuch bolta nahin ,mudhker dekhta hai.kamra kai logo se bhar chukka tha. per janab mil to gaye,per gayab kyon huae.logaap per ungli utha rahe hain.kisi bhi tasveer ka banana yahan gunah mana jata hai.aap butparast hai to hinduon ki jagah ja ker rahiye.hume yahan chen se khuda ki ibadat mein

dhundiraj thaka hara ghar lota kamala-------chor pakda gaya

ulta kotwal mujh per bhadak gaya kya hua kuch ladkon ne tasveeren khichwai thi.bhage to pahchan liye gaye ye to achi baat bazaar mein pheli hai.police ke kaam bhi aoge nahin unka manna hai un tasveero ne uneh …..yhan se dukan utha ker……. Kamala laker aik parsal deti hai Kamala------nadkarni ka hai Parsel kholker dekhta hai.photo rasayan ki sheeshiyan

kya likha hai? photo postcard phatako ki tarah bik raheh hain.khsker gorimemon ki rang bhari tasveeren.railshell ko bhooljao.ajanta allora kajurap chalega.sapere ki tasveer dekh ker been baj gai. Kamala--------tum is meem ko kya javab doge?

sona banane ki vidhya sikhni padegi.tumeh bhi sone se laad doonga.- gusa kyon ho sahe ho…..tum kisi jagah padhane ki naukri kyon nahi ker lete,apne pita ki ta or phir tyag ker bheekh ki katha bachun’ tum nahin pachim kitna agye bad gaya hai.aik din main german jaroor jaunga