Hindi

From PhalkeFactory

BEES RANIYON KE BIOSCOPE

The Phalke story



By Kamal Swaroop



                       Page1A.jpg

Tu din bhar isi shila ke aas pass rahega kahin jayega nahi. Kiyon tu raji hai? Din bhar tujhe aik hi baat sochni hogi.tu apne ghar ke vishay ke bare mein sochega.apne ghar ke sabhi logon ke chehre yaad karega.sage sambhndhi mitre adi ko nahi.un sabka smaran ker apni kalpna mein gharwallon ke saath sambandh sthapit karne ki chesta karna Theek hai Kal phir yehin pahunch jana phir baat hogi.

Kya aaj bhi ghar ki yaad aarahi hai? Aaj ki chinta is prakar hogi.vahan dekh,door mein pahad or aakash ka sangam hua hai Aakash ki or dhyan se dekh.souch yeh anant hai.such dukh se pare hai.or pahad virat hai kintu seems mein bandha hai.man le tera man aakash hai or man ki chintaye aakash mein vicharte badal.nerve darshak ki tarah dekh or sonch ki yeh badal kahan se aa rahe hain kahan ja rahen hai


The Ramayana and the Mahabharata contains the most inexhaustible stories for pictorial representation which any country possesses, all that is needed to promulgate their beauty and complete their fame in their purer and noble passages and with the power of European art, they should engage the service of the national pencil as they have fastened on the national memory and animated the national voice.

None can have a stronger claim on our attention than education. It is one of our sacred duties to be the means of conferring upon the natives of India, those vast moral and material blessings which flow from the general diffusion of useful knowledge, and which India may, under providence, derive from her connections with England.

Who am I? A father adding to the thirty crore population of India? My wife’s husband? A servant of India who has not paid his dues to his motherland? A victim to the desires of moneylenders? A man bereft of worldly wisdom, obsessed by only one aim, and thus ruining his family life?

1 father foretells that he will deal in something white...


father and son are bathing in the river. father recites purush sutra and son repeats. they close there nose and go down in the water. river flowing over their head. when father emerges ,child is out of sight. father anxiously looks around. calls for him.terror.then suddenly son emerges at distanse.father is angry.walks out of water. Son runs after.touch.father pleads for not to touch

jyotirling ka shastriya rahasye kya hai?


kyonki jyotirling shabd prakash vachak hai or ling shabd srishti or samhar ka ghotak hai.kyonki ling shabd do dhatuon se banta hai,aik ka chitrikaran or doosre ka gati arth hai

avakt swaroop se vyakt hona arthat vividhakar jagat ka roop mein pragat hona





TRIMBK Do hatho ne atta goontha.tod ker goll kiya.belan chalaya .phirhatho se utha ker hawa me nachaya.or garamtave per rakha.miti ke chule mein aag bhbhak rahi thi or is wajha se ma ka chehra damak raha tha.swarn kan aise ki suraj ke anne per inkar karati subh ki oss Ma ne mudker dekha to ghutne ke bal chal ker dundhiraj chalker deewar ke pas mitti khodh ker kha raha tha.

Foren uth khadi hui or bhag ker use god me uthaya.ek ungali mu me dal kermiti baher nikali.do thapped rasida or dham sezamin per patak diya.dhundiraj.cheekh ker rone laga. Dwarkabai--------ro,pet bhar ker ro.

Dwaraka ko kuch sujja.tezi se uth ker kuch dhoodhne lagi.ek sadi ka fata tukada mila.use do tukado me fada or govind ke hatho me aise bandha jaise ghodhe ke khur.

Kha or miti,tere hath ab aise hi bandhe rhnge.

Bal swarte dwarkabai,eak nazar aasmaan dekha.aakash me iklota badal. Kuch shano badh jaise jaise palang ka dolana stabhit hua ……badal ka tukda gati mai hua.dhundiraj ki naak ki seedh me aaya. Rodan achanak thama. Palne me aise pada raha jaise ki parlokik ghatna ka mook sakshi.

Uski aankho ki putaliyno me ek kampan hua. Chal ker naak ke paas mili. Tabhi ek vichitra sa saphed saras palne ke paas utar ker baitha. Vah Kisi dhuser saphed dhatuon ke kalpurzon se bana tha. Idhar ,chule ke angaar ko rakh se dhak ker vh sonch rahi thi ….hawa me chai stabta ne use chnka diya.dhndiraj ka achanak tham kiyo gaya.dil per haath rakh ker wo baher ki or lapki.dundiraj mano samadhi me leen tha.haath aise khule the jaise tukaramji ne kartal pakad rakhi ho.chere per vighankari muskan per mu me koi awaz nahi palana sthir tha.mano akash per us badal ke tukde ne use summohit ker rakha tha.

Yakayak tabhi vatavaran me chai teervata lupt hui.hawa bhane lagi or sath sath us badal ke tukde ko bhi le jane lagi.idher badal hila or udhar palana khud b khud jhoolne laga…… dhundiraj ki samadhi tooti ….vh roya Dwarkabai-------------he deva,me to dar gai thi….shama ker de.ab kabhi n bandhogi.


Jyotirling ke muhn per dhare sone ke panch mukut mastak ko hatate hi dipako mein lo aye.prakash bahar ki or phalne laga.mandir ke darwaze khulne lage.kai adrishya haath ghntinya bajane lage. Taza ,saphed puti deewaron se giren aangan mein dhundiraj ke peeche uski hamumre bhan daud rahi thi.dhundiraj manir mein ghusa or chup chap khada hogaya .kuch door kamala apne parivar wallon ke sath khaddi thi.koyale ka tukda dikha ker kaha chal tujhe ghoda bana ker dikhata hoon. Dono daud ker mandir ke akant mein aaye.bina haath uthaye aik ghoda bana diya.deewar se do kadam peeche hat ker niharne laga.uske peeche khadi kamala visfarit netro se taak rahi thi.phir peeche mudhe to bahan shivram se shikayat ker rahi thi. BAHAN-------dekho kaka phir se deewar kali ker di.ab mein sahan nahin ker sakti yeh koi phathshala hai. Dhundi dar ker bola,ab nahi karoonga Phir achanak laga passa palat gaya,jab kaka bole sunder hai








.


2 father invited to join the college as a Sanskrit teacher.3The family leaves for Bombay.


FATHER IN THE CLASS ROOM


सब जात गोल की.. हिंदू शस्त्र पंसारी की दुकान.

चमार कुछ बनना है तो उसको भी बना दीजिएगा?

क्या बनना चाहे?

ब्राह्मण

चमार ब्राह्मण है इस में क्या संदेह है? चमार में तीन अक्षर हैं. च- चारों वेद, , र, रामायण, म- महाभारत. जो इन तीनों को पढ़ाए वो चमार. इन चर्मकारों ने बहुत बढ़ा यग्य किया था. उस ही से चरम वती नदी निकली थी.

लाओ निकालो दक्षिणा.

और डोम?

डोम तो ब्राह्मण क्षत्रिया दोनों कुल के हैं. विश्वामित्रा वशिष्ट वंश के ब्राह्मण डोम हैं, हरीशचंद्र क्षत्रिया वंश के.

और कृपा निगना मुसलमान?

मियाँ तो चारों वंश में हैं, वाल्मीकि रामायण में लिखा है जो वर्न रामायण पड़े, मियाँ हो जाए. द्वारका में दो भांती के ब्राह्मण थे, जो बलदेवजी मानते थे,

मुश्ली , मुश्लीमनया कहलाए, और जो कृष्ण को मानते थे, कृष्णमानया हुवे.  

और धोबी?

अच्छे ख़ासे ब्राह्मण जयदेव के ज़माने में ब्राह्मण होते थे. धोई कवी संपत्ति

और नीच को ऊँच?

ऊँच नीच क्या है, आप दक्षिणा देते जाइए. नाग पकड़ने से नगर और गुल जलाने से गुजराती.


Student-sabe jaat goal ki.hinduon ka shastra pansari ki dukanhai. Sada shiv-chamar kuch banna hahe to usko bhi kuch bana dijiyega? --kya banna chahe? -brahmin. --chamar Brahmin hai isme kya sandeh hai.chamar me teen aksher hai.ch,charo ved.r, ramayan.m mahabharat.jo in teeno ko padhaye wo chamar.in charmkaron ne ak bar bahut bada yagye kiya tha.usi se charmavati nadi nikli thi .lao nikalo dakshina. --aur dom? --dom to Brahmin shatriya dno kul ke hain.vishvamitr vashist vansh ke Brahmin dom hain,harishchander shatrya vansh ke -aur kripa nidhn musalman? -miyan to charon vansh me hain,valmiki ramayan me likha hai jo varn ramayan padhe miya ho jaye.dwarika me do bhanti ke Brahmin the,jo baldevji mante the(mushli)mushlimanya kahlaye aur jo shri krishn ko mante the krishnmanya hua.


aur dhobi


ache khase Brahmin jai devke zamane me dhobi Brahmin hote the…dhoi kavi shamapati

---aur neech ko oonch ---oonch neech kya hai aap dakshina dete jaiye.nag pakdne se nagar aur gul jalane se gujrati










4After a time, it enters a cave-like Victoria Terminus, almost as though entering a camera obscura, and halts.5Phalke is separated from his family and gets lost. Darkness descends.6He is alone in a deserted Victoria Terminus, bewitched by the carvings of gargoyles, lizards, lions, tigers, flora and fauna, like in a fairyland. Suddenly it starts to rain, and everything comes to life. Streams of water pour out of the stone mouths of mythical monsters, frothing at the jaws. Phalke is shaken, shivering with cold, crying for his father in the dark.7 JJ School of Arts sits with hammers and knives, carving out figures on the terraces and the tops. The cotton loaders are teasing a Victoria look-alike, a mad woman at the fountain outside.8Picking up leaves as if to build a nest, small birds move above.9A Victoria enters and drags the woman away by the hair.10A mad dog chases Phalke through a backdrop – streets, railway lines, ships and factories.11He enters a palace and finds the princess stretching her arms and calling his name, and then metamorphosing into a frightening old woman. Victoria12With a jerk, Phalke comes awake. He is fifteen years old. And he has to run for his examination at the Sir JJ School of Art. As he sketches the live model, sitting nude, the hands and toes of the drawing keep disappearing. JJSCHOOL RAV VARMA LECTURES dhundiraj dher sare vidhyarthiyon ke beech khada hai.painting per lecture sunte. Karan aik hai.jal rang jab kagaj per avatari t

Hota hai to uske tej prsar ko dheek wakt rokne samarthya kalakar mein hona chaiye.tel rangon jaisa sudhar vahan nahin kiya jasakta hai.is ka arth ye hai ki telchitre kee apeksha jalrang adhik prbhaveshali hote hain?bilkul nahin .ulte main kahunga ki jalrang theek hai per usme shanty nahi hai.usli shanty hai kayale mein.vh adhik wastvik hai.per rang jalrang mein daud t Dhoop rahati hai.tel rang ki gati dheemi,kadhin kashtdae hoti hai.


k


1886 – CLOCK AND CHIMES 13Mr. Griffith, the Principal, and Mr. Tarry, the Vice-Principal, present their annual report on the institute, while discussing their hjfuture prospects after graduation with his friends, Phalke podiscloses his intention to go to Baroda where his brother works with Romesh Chandra Dutt, the eminent scholar from Bengal.14 there is a commotion in his father’s classroom. Phalke’s father is objecting to the presence of a non-Hindu in his Sanskrit class. Impulsively, he resigns his post and leaves the premises, taking his son with him. He decides to return to Trymbak and resume his old job of kathavachak.15Phalke’s brother from Baroda is at home, paying the family a visit, and Phalke prevails upon him to take him back to Baroda with him.1886 – 90 – THE MASTER 16 Phalke is taken to meet Prof. Gujjar, Principal of Kala Bhuvan, the technical institute under the royal patronage of HH the Gaekwad of Baroda.17Seeing extraordinary talent in Phalke, Prof. Gujjar puts him in charge of Kala Bhuvan’s photography studio where Phalke makes several experiments in photochemical processes.18He spends days and nights at the Sir Sayaji Rao library, reading 19Phalke also comes into contact with Shankar Moro Ranade, a dramatist who is about to perform ‘Winter Tales’ and his own play ‘Veni Samhar’ at the Maharaja’s palace.20To train his voice, Ranade sends Phalke to the Maulabux Musical School for training in music.

21The work of the director of the ‘Veni Samhar’ drama performed by the Baroda College had naturally fallen to my lot. HEMLET

Rhana hai ya nahin .yehi sawal hai.acha kya hai,zalim takdir ke zamane ki chot,man hi man sahana ya musibato ke samundar ke khilaf hatiyar uthana orlad ker un ka khatma ker dena.mer jata so jata bas.kash ki hum eak neend le ker kha sakte kisone me ab koi dard nahin hai.or n weh hazar chois haad maas ke putle ko.kaisi man chahi pariniti hoti hai yeh mar jana.koun jane yeh chola choot jane per maut kius neend mein kaise kaise sapane aye.unhi ke dar se to hum thithak jate hain,or jhelejate hain jindigi ko.eak kali bala ki tarah.aisa na ho to jamane ki nafarat ko koun sahe or koun sahezalim ka zulm ,gamandi ki shekhi.nakaam mohabat ki kachot,kanoon ki dhilai,hukkam ke tever or nalayako ki thoker.

Mout vah anjan desh hai jiski sarhad se kabhi koi musafir naahin lotata.apane usi dar ki wajah se hum apni taklifo sebhagne ki badle unko jhelte hain.





21I had some interest in magic also. On a darkened stage, a large blank canvas was illuminated by limelight. As he made passes with his right hand, the canvas gradually and mysteriously gave birth to a brighter and brighter painting, Raja Ravi Verma reproduction.21Dada stands first and is offered a scholarship.22After consulting Prof. Gujjar, he buys his first still camera with the first installment of his scholarship. he is gifted photo gun.

His father takes him to hilltop telling the story of descent of Ganga. He grows up in mist.

23He was nineteen years old. He was lying on his back on a hill, looking up at the sky. His camera stood on the tripod to one side. Suddenly, mist began to creep towards the field. A cloud of mist enveloped him and hid him from view. All he could see was white mist. White blindness, as if he was buried in a cloudbank of mist. Then a snake slithered through the mist, crawled over his chest and stood above his face with fanned hood. Rubbing itself against his chest, the snake began to slough off the skin covering its eyes. Understanding, Govind picked up a cloth on which his head was resting and wiped the snake’s eyes clean. Having regained its sight, the snake went quietly away. When the mist cleared, the surrounding hills had turned into the white, snow-covered Himalayan Mountains. The infinite sun peeped out from behind the infinite mountains. On all sides the multicolored tree barks of autumn… Govind was exhilarated by this vision. This was the source of the Godavari…


1890 Telang or phalke


mitr suna hai tum photpgraphy kerne lage ho to phir camera kidhar hai?


kuch atankari bandaro ne loot liya.


kon the kinyo the kuch gyaat hua?


anveshan gari hai.


shayad me tumare anveshan me sidh rahun.kaam aun.kintu jis yug me chitre gatimai ho tab tum mujhe yaad karoge


artharth?


photography kya hai?


the formation of an image on aflat surface by an optical device and achemical method of sensitizing that surface to a light source so that the image can be captured permanently.

---isi baat per tumeh apne mitro se milata hu



mitre ,ye mere vanar sakha hain.tumhare gane ke baad keval yehi mitre the.kai varsho se tumhari mitrata ki charcha karta aaya hnu.kintu milane ke phale tumhe acharya me dalne ki ischa thi .

monkeys were ready with the camera,moving around hanumanji.phalke sits with them,posing.telang takes the picture



24He watches the Prince ride his horses, play cricket, shoot crows, wrestle. He cannot comprehend palace intrigue, and the changes occurring in the state of Baroda.

26When he comes home, there is a surprise waiting for him. His father has arrived from Nasik, bringing Phalke’s wife, Kamala, with him. Phalke is shy as well as nervous. His father asks about his prospects.27 his wife, She urges him once more to set up a separate home.

1895 – ALCHEMY, GODHRA

28Godhra is a railway junction surrounded by small tribal kingdoms.29Phalke hangs a sign outside his house. ‘Photographer Phalke’ it reads.

Miss malkm A photograph comes alive. Tum aagay or mein kitni kush hun.hamari residency ka munshi bdha badmash hai mein chahti hunki tum yeh patre padh ker iska tarkuma kerke sunao mein tumhen inam doongi.mr parkison ne kal sham club mein batlaya ki ap angreji bhi jante hai.

Ji .kisi hadh tak bol samajh to leta hunor ischa bhi haiki aapki is shandar juban ko urdu ,hindi gujrati,marathi ki tarah bol saku

Meri aaya ko mahalo se khat mila hai raja ki kisi begam ka khat.ak kuphiya dastavez .khas residency saheb ka.mein janna chati hun ki ye patre bhejne ke kabil hai?

Mere Calcutta ke ak dost parkison Sanskrit ki purani kitabe kharidne ko bahut utsuk hain umda kitabo prr acha daam bhi milega Kuch kitabe leker hazir hounga. mein jald hi jald

Agar mujhe ynha paunchne mein der ho jaye to hazoor mujhe maaf keren.mere paas vilayati ghadi nahin hain .is liye aap logon kitarah wakt ka paband nahin ho pata O!thariye ,ise kholiye Dhakken khula to vah….. Ghdi mein nar nari ka apurve rati sakriye joda bana huva tha


oh god ,apne to wrong side khol di

1896 dhobitalave per nadkarni ki photo—sports ke samane aik ghoda gadi ruki.gadi per likha tha traveling photographer. Gadi mein se kareeb 24 ,25 saal ka aik navjavan us jamane ki pant, kameez or jaket pahane utra.vh seedha dukan ke bheter gaya.dukandar mano use achi tarha janta pahchanto ho. Uth ker khule dil se usse gale milta hai baithne ko kursi deta hai

nadkarni…….dhundiraj,matapita tyag ,kahan ki pradikshana se aa rahe ho dhundiraj……ye dekho ajanta ,allora khajuraho.clock tower se Bombay ke drishya,pashu-pakshi,deshi videshi sundriyan,raje maharaje,circus ke kalakar rajadeendayalapne samne……or ye chadi orye kamuk ghdi

nadkarni ghdi kholta hai aik chitre mein sambhog karti mudra sanggeet per ghoomne lagti hain dhundiraj…….aik mitra mahila ki bhent.acha ye batao ,tumhe yaad hai aik panditji ko sona banane ki sanak thi,or unke pas pustakon ka bhandar tha.hai kya?


kyon nahi. Ve yhin se rasayan le jate hain.yehrahi tumhari udtichidyiyan ke per gin sakne valli bandook,kisi bhi udan ko kaid ker sakti hai.ghoda apneadrishya pero ko……

shukriya mujhe vo kitaben chahiye.aik mahila hain London ke vidhvan premi ko khush karna chati hai ………..brahmn ho ker vishvasghat ker rahe ho?


mitre,gyan ke bhandar ko deemek chat ker jaye,us se acha hai ye gore kuch padh likh len

……….tum brisht ho rahe ho matre.apne pita ki tarha nahin jinone dev ki pavitrta ki khtir apna path tyag diya








30 meets alchemist ghoda gadi aik chandni rat mein nhaye sphed mandiron kee galiyon se guzer rahi thi aaker aik khandernuma char manzila imarat ke samne ruki dhundiraj ne ghode ko ghass di oar imarat ke andar prevesh kiya.shastriji ko us bool bhulbhulaya mein pukarne laga

tahkhane ke eik andhere kamre mein panditji apne kimiyagiri ke upkarno ki sahayta sesona banane mein vyast the.dhundiraj jaise hi pravesh huye—usi samaye rasaynik kriya mein eak visphot hua.panditki ke much per kalikh puti.oar sphot ke sath hi hare rang ka dhuan teji se kamre me phalne laga.eak chuhe ki akriti ka dhun dhundiraj ne apne nathnu mein bhara.panditji ki surat dekh ker uski hansi chooti. Panditki----------kahiye kya kaam hai?meine aap ko pahchana nahin. Dhundiraj-------mein dji shasti ka putra hun,dhundiraj Dhundiraj ne apne kamarband se khusa hua chota sa bauva nikala,usme se paanch rupaye nikal ker panditji ke charnon mein rakhe


kya matlab hai?


aapse kuch jaroori batten karni thi.


ye apne rupye uthaye or chalet banye, paanch rupye mein is pandit se seala koi kuch nahin ugalwa sakta hai.


ye to dakshina matre hai,apni baat arj karne ke baad sone ki ashrafiyon se sauda karoonga.


sone ki ashraffiyan?yani ki mohren?sona to mein khud chahata hoon magar khud ke haato se banaya hua

kimiyan ke upkarno se tarah tarah kerangon ki bhap nikal rahi thi.aik tambe ke bartan mein aml ki boond tapak rahi thi.panditji ne jaanch ker dekha sona nahin bana tha.gusse se bartan uchal ker phenk diya, sona nahin bana tha.haath ponch liye.


khre bhaeya aap se baat ker loonga,kya garmi hai


meine suna hai ki aap ke pass Sanskrit ki bahut pothiyan hai?


ji han hai to sahi ,per ab unhen maine khurake dimkan bana diya hai.kambakht ghar bhar mein phellen,lakdi ke darwaze khokle ker isse acha hai ki in namurad kitabon ko khati rahe.kya garrmi hai.tashreef rakhye.


vilayat se aik angrej aaya hai,uske pas aik kitab hai.maine khud apni aankhon se dekha ki usne apni jeb se sheeshi nikali or sirf do boond tambeke bade lote per dal di or phir apne nauker se kaha kiab is lotte ko bell patron se manjh do….manjhte hi mano karishma ho gaya.poora lota sone jaisa chamchma raha tha.phir bole yeh sara sona angrez sarkar mujhsse kharid leti hai

meri croro ki daulat vilayat mein hai.magar mujhe yahan se jane ke liye kames kam pachas sone ki deegre chahiye.to maine kaha jo lota apne abhi banaya use bech dijiye----rupiya mil jayega.vah bole nahin ,rejident babu ne isai mantr ki kasam khila rakhi hai.sona angrej sarkar hi le sakti hai. Mane kaha to angrez sarkar se hi paissa le lijiye……..is per voh gora kahne laga sona yahan bana ker deta hun to ve kalkatte ke bade laatt sahib ko khat likh ker batlate hai,or bade latt sahib vilayet meincompany bahadur ko….tab vh rupiya vhan unko bhej diya jata hai.is bechare ko aik bhi dhela nahin milta kinyoki yeh sharab bahut peeta hai.is liye veh chata ki koi uski kimiyagiri ki kitaabe pachas dinaron mein khareed le..kiyonki nuskha use yaad ho gaya hai


aisi kitab to sirf arab zaban mein hogi


sahi farmaya.


ye angrez saltane bhalen loot len magar kya khaker angrezi zaban padenge


is gore ka vald English nasle ka hai.or ma arbi nasle ki.isai hote huve bhi apne bete ko kalmapak padaya.mera khayal hai ki yeh kitab bhi use uski walida ne…..

vh kitab apne dekhi hai? Ankho se pachas dinaron main kitab us sharabi English man se khareed sakte hain.


ullu ka patha ho gaya hai jo aisi beshkimti kitab bech raha hai


chunki nuskha use yaad hai isliye bechne ko taiyar ho gaya hai.

Per pachas du kahan se.haveli bech doonga to rahunga kahan?


ye kitabe aap mujhe bech dijiye main pachaas dinaren aap ko nagad doonga.

Panditji ko pasine choote.kuch sonch kerkisi doosre kamre ki taraf janelage.unoneh aik kivad ki sankal kholi,andar andhera tha.jalti tel bati leker ander ghuse ,peecbe dhundiraj or aik chuha.

Lagbhag teen char hazar pustken thi.haath lagate hi panne ret ho rahe the.sunhere rango mein sachitre.dhundiraj ne tel batti apne hatho mein le li.


inki kya kimat lenge aap?


aji kimat kya……main in saliyom se kutte ka pakhana utha ke n phenku,itni nafrat ho gai hai mujhe….apke devi devtaon se aap ke majab se.mujhe duniya ke tamam majabhon se nafrat hai.bus aik bar sona banaker dekhna chahta hun.


to inke liye pachas mohre pesh karu


jee nahi,51ya 101.mujhe shudh rakam chahiye.lena ho to leejiye varna dafa ho jaiye.dhundiraj ne ashrafiyan gin ker pesh ki,


dhundiraj ne kitabe bandhi,ghodagadi mein ladhi.

Is bar pandit ji kuch hari jaddi ghot rahe the. Panditji……..janab aap shikari bhi hain?


nahin panditji ye tasveeren lene ki bandook hai.udti chidya ki bhagte ghode ki,narsima ki.

Panditji-------ruko, mujhe lagta hai tum mere kaam asakte ho.mere paas aik jaddi hai,use khane se admi sher mein badal sakta hai.doosri ko khane per manushya mein.main chahta hun jab meri kaya parivartan ho rahi hoto tum is bandook ko baraber tane rakhna.tasveeren utarana.mein bhi dekhun kya savar o jata hai?phi mujhe goli chata dena.main phir se admi ho jaunga. Dhundiraj------aap mujhe mar ker kha gaye to?


beta tumhare paas bandook hai,sher banne ke baad mujhe kaise pata chalega ki ye nakli hai?ye pryog hai vigyan ki kasam.daro mat

panditji ne aik goli khudh kha li oar aik dhundiraj ko thama di

dhundiraj ki bandook ki nok tale sher mein badalne lage.dhundirajj ne banook ka ghoda teen baar dabaya per apna bhya adhik der tak nahin daba paye.bhge.door chandni raat men ghoda gadhi kitabe leker bhag rahi thi.


Idhar dhundiraj ki neend tuti.khidki ke bahar sara alam chand ki dudhiya roshni mein nahaya hua tha.kamala bagal mein so rahi thi.vh utha, seedhiyan chadhi.tale mein chabhi lagai.telbatti ki roshni tej ki ti dekha khidki khuli thi orkitaben gayab thi

Khidki ke bahar sota hua shaher tha,kuch chimniyon ka dhua,or door bhaap ki rail.mula ki azaan.

Dhundiraj daud ker neeche aya Kamala kamala kitabe chori chali gayi.mein us mem ko kya muh dikhaunga?

Dhundiraj thane gaye. Kotwal,laldadi walla muslman thaankho mein surma jaise ki babbersher ho


humne her padhe likhe admi ki talashi le li hai,per janab aap jin kitabon ka zikre ker rahe hai ve kahin nahin mili.or janab angreji angrezon ki talashi lene ka hak nahin hai.waise apka karobar kya hai.


kamere ki tasveere khichna


toba toba


in cheron ko pahchante hain?


ji han mere haath ki hain


ye bachhe kai dino se ghar se gayab the.apki in tasveeron ki vajah se pahchan liye gaye,inke sar per inam rakha tha aap uske hakdar huve.dhundiraj kuch bolta nahin ,mudhker dekhta hai.kamra kai logo se bhar chukka tha.


per janab mil to gaye,per gayab kyon huae.logaap per ungli utha rahe hain.kisi bhi tasveer ka banana yahan gunah mana jata hai.aap butparast hai to hinduon ki jagah ja ker rahiye.hume yahan chen se khuda ki ibadat mein


dhundiraj thaka hara ghar lota kamala-------chor pakda gaya


ulta kotwal mujh per bhadak gaya


kya hua


kuch ladkon ne tasveeren khichwai thi.bhage to pahchan liye gaye


ye to achi baat bazaar mein pheli hai.police ke kaam bhi aoge


nahin unka manna hai un tasveero ne uneh …..yhan se dukan utha ker…….

Kamala laker aik parsal deti hai Kamala------nadkarni ka hai Parsel kholker dekhta hai.photo rasayan ki sheeshiyan


kya likha hai?


photo postcard phatako ki tarah bik raheh hain.khsker gorimemon ki rang bhari tasveeren.railshell ko bhooljao.ajanta allora kajurap chalega.sapere ki tasveer dekh ker been baj gai.

Kamala--------tum is meem ko kya javab doge?


sona banane ki vidhya sikhni padegi.tumeh bhi sone se laad doonga.-


gusa kyon ho sahe ho…..tum kisi jagah padhane ki naukri kyon nahi ker lete,apne pita ki ta


or phir tyag ker bheekh ki katha bachun’ tum nahin pachim kitna agye bad gaya hai.aik din main german jaroor jaunga

Phalke stories in hindi continued